Wednesday, January 27, 2010

hame kaya ?

hi
Hum hindustaniyoon mein ek aadat bhaut acchi hai ki hum rote bhaut hain mera matlab hai ki hum kisiko bhi criticize karne mein peeche nahin rehte maslan  woh minister chor hai, sachin aaj saala zero pe out ho gaya yaar usko team mein lete kyoun hi, sarkar bekar hai , doodh nakli hai ,hockey national sport hai par sala hockey ka bura haal hai govt kuch nahin kar rahi hai ,sara dosh minister aur govt ke matthe ,koi channel mein hai toh ro raha hai yaar hamara ceo bada bekar hai yaaar hamari management badi kaharab hai  vagera vagera  har baat pe hamara coment tayar rehta hai bade bade vidwaan hai jo apni rai turant de dete hain par khud kuch nahin karte kabhi khud aage nahin aate , bhai woh chor hai toh tum aage aa kar election lado jeeto aur imandari ki misal pesh karo, agar management kaharab hai toh jao aur kuch sugesstion do ki bhai aisa kar lo  par nahin karte shayad karna nahin chate ki hame kaya hamare baap ka kaya ja raha hai jaisa hai chalene do sab bhed mein hum bhi araam se chal dete hain ,corruption baad raha hai badne do hame kaya par janab sonch ke dekhe ye toh pata chalega ke sab kuch toh aap hi ka ja raha hai sonchiye sonchiye aur batiye ki kaya is desh ka nuksaan aap ka nuksaan nahin hai kaya aapki company ka loss aap ka nahin hai sonchiye........  is sambandh  pe aage bhaut kuch likhoonga bas aap ka saath chaiye kyounki likhne ko bhaut kuch hai ..... namesthey................

4 comments:

  1. अजय कौल जी स्वागत है , लेकिन रोमन हिंदी पढ़ने में कठिनाई होती है क्रिपया हिंदी को हिंदी (देवनागरी लिपि ) में ही लिखें ।

    ReplyDelete
  2. hum aap ke sath hain, bilkul sahi likha hain aap ne

    ReplyDelete
  3. चलो अच्छा है. सोच तो रहे हो !लिखते रहो दोस्त.

    ReplyDelete
  4. well said.... aapki sonch ne sonchne per majboor kar diya.. waht to here more from you ..
    what an Idea sir ji

    ReplyDelete